aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

didani hai hamari zebai

Saleem Ahmed

didani hai hamari zebai

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    dīdanī hai hamārī zebā.ī

    ham ki haiñ husn ke tamannā.ī

    bas ye hai intihā ta'alluq

    zikr par un ke aañkh bhar aa.ī

    na kar apnī mahfiloñ ko udaas

    raas hai ham ko rañj-e-tanhā.ī

    ham to kah deñ 'salīm' haal tirā

    kab vahāñ hai kisī shunvā.ī

    aur to kyā diyā bahāroñ ne

    bas yahī chaar din rusvā.ī

    ham ko kyā kaam rang-e-mahfil se

    ham to haiñ duur ke tamāshā.ī

    vo junūñ ko baḌhā.e jā.eñge

    un shohrat hai merī rusvā.ī

    mo'taqid haiñ hamārī vahshat ke

    shahr meñ jis qadar haiñ saudā.ī

    ishq sāhib ne dil pe dastak

    aa.iye murshidī o maulā.ī

    ye zamāne jabr hai ki 'salīm'

    ho ke mere bane haiñ saudā.ī

    didani hai hamari zebai

    hum ki hain husn ke tamannai

    bas ye hai intiha ta'alluq ki

    zikr par un ke aankh bhar aai

    tu na kar apni mahfilon ko udas

    ras hai hum ko ranj-e-tanhai

    hum to kah den 'salim' haal tera

    kab wahan hai kisi ki shunwai

    aur to kya diya bahaaron ne

    bas yahi chaar din ki ruswai

    hum ko kya kaam rang-e-mahfil se

    hum to hain dur ke tamashai

    wo junun ko baDhae jaenge

    un ki shohrat hai meri ruswai

    mo'taqid hain hamari wahshat ke

    shahr mein jis qadar hain saudai

    ishq sahib ne dil pe dastak di

    aaiye murshidi o maulai

    ye zamane ka jabr hai ki 'salim'

    ho ke mere bane hain saudai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now