diwangi-e-dil ki tauqir nahin hoti
dīvāngī-e-dil kī tauqīr nahīñ hotī
ab ḳhāk-e-mohabbat bhī iksīr nahīñ hotī
ai barq-e-fanā tū hī taqdīr mirī ban jā
ġhārat-gar-e-sāmāñ se tadbīr nahīñ hotī
kyoñ dekhte haiñ mujh ko hairat se jahāñ vaale
kyā ġham kī yahāñ koī tasvīr nahīñ hotī
maiñ lā.iq-e-kushtan huuñ ye sach hai magar dekho
taqdīr bigaḌ jaanā taqsīr nahīñ hotī
ādāb-e-vafā sīkho andāz-e-jafā chhoḌo
yuuñ qasr-e-mohabbat kī tā'mīr nahīñ hotī
kyoñ dard nahīñ baḌhtā kyoñ maut nahīñ aatī
kyoñ ḳhvāb-e-pareshāñ kī tā'bīr nahīñ hotī
tāsīr-e-mohabbat se aa.heñ to huiiñ paidā
aahoñ meñ 'nazar' paidā tāsīr nahīñ hotī
diwangi-e-dil ki tauqir nahin hoti
ab KHak-e-mohabbat bhi iksir nahin hoti
ai barq-e-fana tu hi taqdir meri ban ja
ghaarat-gar-e-saman se tadbir nahin hoti
kyon dekhte hain mujh ko hairat se jahan wale
kya gham ki yahan koi taswir nahin hoti
main laiq-e-kushtan hun ye sach hai magar dekho
taqdir bigaD jaana taqsir nahin hoti
aadab-e-wafa sikho andaz-e-jafa chhoDo
yun qasr-e-mohabbat ki ta'mir nahin hoti
kyon dard nahin baDhta kyon maut nahin aati
kyon KHwab-e-pareshan ki ta'bir nahin hoti
tasir-e-mohabbat se aahen to huin paida
aahon mein 'nazar' paida tasir nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.