Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwangi ka apne sar ilzam liya hai

Salik Lakhnavi

diwangi ka apne sar ilzam liya hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    dīvāngī apne sar ilzām liyā hai

    jab tujh ko bhulāyā hai tirā naam liyā hai

    jab bhī hai lagī rāh-e-ḳhirad meñ koī Thokar

    ghabrā ke vahīñ dast-e-junūñ thaam liyā hai

    iisā to nahīñ maiñ pa sar-e-ishq-o-junūñ par

    nā-karda gunāhoñ bhī ilzām liyā hai

    majbūr-e-muravvat ne har ehsān ke badle

    yāroñ se faqat tohfa-e-dushnām liyā hai

    dekho na hiqārat se mire dil thakan ko

    is dil se zamāne ne baḌā kaam liyā hai

    aisā bhī huā hai ki bharī bazm meñ 'sālik'

    in āñkhoñ ne un āñkhoñ se paiġhām liyā hai

    diwangi ka apne sar ilzam liya hai

    jab tujh ko bhulaya hai tera nam liya hai

    jab bhi hai lagi rah-e-KHirad mein koi Thokar

    ghabra ke wahin dast-e-junun tham liya hai

    isa to nahin main pa sar-e-ishq-o-junun par

    na-karda gunahon ka bhi ilzam liya hai

    majbur-e-murawwat ne har ehsan ke badle

    yaron se faqat tohfa-e-dushnam liya hai

    dekho na hiqarat se mere dil ki thakan ko

    is dil se zamane ne baDa kaam liya hai

    aisa bhi hua hai ki bhari bazm mein 'salik'

    in aankhon ne un aankhon se paigham liya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now