Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar-e-takalluf hai to mismar karo na

Aijaz Asad

diwar-e-takalluf hai to mismar karo na

Aijaz Asad

MORE BYAijaz Asad

    dīvār-e-takalluf hai to mismār karo

    gar us se mohabbat hai to iz.hār karo

    mumkin hai tumhāre liye ho jā.ūñ maiñ āsāñ

    tum ḳhud ko mire vāste dushvār karo

    gar yaad karoge to chalā ā.ūñgā ik din

    tum dil guzargāh ko hamvār karo

    bāhar ke mahāzoñ tumheñ fat.h mubārak

    ab nafs ke shaitāñ ko giraftār karo

    kahnā hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat

    khul ke kabhī jazbāt iz.hār karo

    har rishta-e-jāñ toḌ ke aayā huuñ yahāñ tak

    tum bhī mirī ḳhātir koī īsār karo

    'aijāz' tumhāre liye sāhil pe khaḌā huuñ

    dariyā-e-vafā mere liye paar karo

    diwar-e-takalluf hai to mismar karo na

    gar us se mohabbat hai to izhaar karo na

    mumkin hai tumhaare liye ho jaun main aasan

    tum KHud ko mere waste dushwar karo na

    gar yaad karoge to chala aaunga ek din

    tum dil ki guzargah ko hamwar karo na

    bahar ke mahazon ki tumhein fath mubarak

    ab nafs ke shaitan ko giraftar karo na

    kahna hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat

    khul ke kabhi jazbaat ka izhaar karo na

    har rishta-e-jaan toD ke aaya hun yahan tak

    tum bhi meri KHatir koi isar karo na

    'aijaz' tumhaare liye sahil pe khaDa hun

    dariya-e-wafa mere liye par karo na

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now