Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar iKHtilaf ki itni buland hai

Ghail Fareedi

diwar iKHtilaf ki itni buland hai

Ghail Fareedi

MORE BYGhail Fareedi

    dīvār iḳhtilāf itnī buland hai

    rasman bhī ab salām-o-duā un se band hai

    sach baat kah ke sab nazar se hue haiñ duur

    thī kab ḳhabar zamāna ḳhushāmad-pasand hai

    vāqif nahīñ zamāne haq baat se jo shaḳhs

    duniyā samajh rahī hai use hosh-mand hai

    ik dar pe sar jhukā ke ye izzat milī mujhe

    duniyā ke sāmne mirā ab sar buland hai

    sābit qadam rahoge mohabbat meñ ahd hai

    sirf ye muāhida-e-tāshqand hai

    ‘ghā.il’ tumhāre baare meñ kahte haiñ ab bhī log

    haiñ ḳhāmiyāñ bahut magar aḳhlāq-mand hai

    diwar iKHtilaf ki itni buland hai

    rasman bhi ab salam-o-dua un se band hai

    sach baat kah ke sab ki nazar se hue hain dur

    thi kab KHabar zamana KHushamad-pasand hai

    waqif nahin zamane ki haq baat se jo shaKHs

    duniya samajh rahi hai use hosh-mand hai

    ek dar pe sar jhuka ke ye izzat mili mujhe

    duniya ke samne mera ab sar buland hai

    sabit qadam rahoge mohabbat mein ahd hai

    ya sirf ye muahida-e-tashqand hai

    ‘ghail’ tumhaare bare mein kahte hain ab bhi log

    hain KHamiyan bahut magar aKHlaq-mand hai

    Source:

    (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now