Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha

Shamim Ravish

diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha

Shamim Ravish

MORE BYShamim Ravish

    dīvār sūrat thā kabhī dar tarah thā

    vo dhund meñ lipTe hue manzar tarah thā

    dekhā to shagufta lagā phuul sūrat

    utrā to mirī ruuh meñ ḳhanjar tarah thā

    maiñ aaj tahī-dast huuñ ik ḳhaas sabab se

    varna maiñ zamāne meñ sikandar tarah thā

    kuchh vaqt ne tartīb bigāḌī mire ghar

    kuchh ghar bhī mirā mere muqaddar tarah thā

    vo jāgte lamhoñ meñ bhī patthar tarah thī

    maiñ niiñd ke aalam meñ bhī aazar tarah thā

    diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha

    wo dhund mein lipTe hue manzar ki tarah tha

    dekha to shagufta sa laga phul ki surat

    utra to meri ruh mein KHanjar ki tarah tha

    main aaj tahi-dast hun ek KHas sabab se

    warna main zamane mein sikandar ki tarah tha

    kuchh waqt ne tartib bigaDi mere ghar ki

    kuchh ghar bhi mera mere muqaddar ki tarah tha

    wo jagte lamhon mein bhi patthar ki tarah thi

    main nind ke aalam mein bhi aazar ki tarah tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now