Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar-o-dar ko aur bhi viran kar gae

Madhavi Shankar

diwar-o-dar ko aur bhi viran kar gae

Madhavi Shankar

MORE BYMadhavi Shankar

    dīvār-o-dar ko aur bhī vīrān kar ga.e

    vo sab bichhaḌne vaale bichhaḌ kar kidhar ga.e

    in mushkiloñ ne kaam ye āsān kar diyā

    kuchh log vaqt rahte dil se utar ga.e

    kāñTā sahī maiñ shāḳh pe apnī jagah to huuñ

    nāzuk vo gul tamām havā se bikhar ga.e

    taarī rahā sukūt mire ghar meñ der tak

    āvāzeñ apnī chhoḌ ke jab dost ghar ga.e

    har chiiz shahr-e-ishq meñ mahñgī thī is qadar

    lauT aa.e ḳhālī haath jab jab udhar ga.e

    ham the anā-parast so rokā nahīñ use

    par us ke lauT aane ḳhvāhish meñ mar ga.e

    diwar-o-dar ko aur bhi viran kar gae

    wo sab bichhaDne wale bichhaD kar kidhar gae

    in mushkilon ne kaam ye aasan kar diya

    kuchh log waqt rahte hi dil se utar gae

    kanTa sahi main shaKH pe apni jagah to hun

    nazuk wo gul tamam hawa se bikhar gae

    tari raha sukut mere ghar mein der tak

    aawazen apni chhoD ke jab dost ghar gae

    har chiz shahr-e-ishq mein mahngi thi is qadar

    lauT aae KHali hath hi jab jab udhar gae

    hum the ana-parast so roka nahin use

    par us ke lauT aane ki KHwahish mein mar gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now