dikhai dena mulaqat ke barabar hai
dikhā.ī denā mulāqāt ke barābar hai
na bolnā bhī tirā baat ke barābar hai
mujhe hai raas khule āsmān kī qurbat
akelā baiThnā bhī saath ke barābar hai
patā nahīñ hai mujhe niiñd kis ko kahte haiñ
bas āñkheñ mūñdnā hī raat ke barābar hai
maiñ jiit saktī huuñ tum se yaqīn hai lekin
tumhārī haar mirī maat ke barābar hai
ḳhudā kī zaat ġhalat to kabhī nahīñ kartī
milā hai jo jise auqāt ke barābar hai
tumhāre hone se vābasta har ḳhushī hai mirī
tumhārā honā mirī zaat ke barābar hai
dikhai dena mulaqat ke barabar hai
na bolna bhi tera baat ke barabar hai
mujhe hai ras khule aasman ki qurbat
akela baiThna bhi sath ke barabar hai
pata nahin hai mujhe nind kis ko kahte hain
bas aankhen mundna hi raat ke barabar hai
main jit sakti hun tum se yaqin hai lekin
tumhaari haar meri mat ke barabar hai
KHuda ki zat ghalat to kabhi nahin karti
mila hai jo jise auqat ke barabar hai
tumhaare hone se wabasta har KHushi hai meri
tumhaara hona meri zat ke barabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.