dikhai deta hai ab kuchh dikhai deta hai
dikhā.ī detā hai ab kuchh dikhā.ī detā hai
is intizār meñ kab kuchh dikhā.ī detā hai
sarāb hai ki samundar hubāb hai ki guhar
kahāñ haiñ tishna-ba-lab kuchh dikhā.ī detā hai
ḳhushī vujūd meñ utrī huī sī lagtī hai
khulī ho aañkh to sab kuchh dikhā.ī detā hai
mire bayān ke ḳhālis-tarīn lafzoñ meñ
zabāñ kā lams ġhazab kuchh dikhā.ī detā hai
ye merā jism zamīñ par hai fan bulandī par
kisī ko is kā sabab kuchh dikhā.ī detā hai
kiyā hai ġhaur to pahuñche haiñ is natīje par
ki apnā haal 'ajab kuchh dikhā.ī detā hai
kiye-karā.e pe paanī na pher jaa.e ġhurūr
ki baat kahne kā Dhab kuchh dikhā.ī detā hai
nazar pe naaz burī chiiz to nahīñ hai 'nishāt'
zamāna lagtā hai tab kuchh dikhā.ī detā hai
dikhai deta hai ab kuchh dikhai deta hai
is intizar mein kab kuchh dikhai deta hai
sarab hai ki samundar hubab hai ki guhar
kahan hain tishna-ba-lab kuchh dikhai deta hai
KHushi wujud mein utri hui si lagti hai
khuli ho aankh to sab kuchh dikhai deta hai
mere bayan ke KHalis-tarin lafzon mein
zaban ka lams ghazab kuchh dikhai deta hai
ye mera jism zamin par hai fan bulandi par
kisi ko is ka sabab kuchh dikhai deta hai
kiya hai ghaur to pahunche hain is natije par
ki apna haal 'ajab kuchh dikhai deta hai
kiye-karae pe pani na pher jae ghurur
ki baat kahne ka Dhab kuchh dikhai deta hai
nazar pe naz buri chiz to nahin hai 'nishat'
zamana lagta hai tab kuchh dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.