Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho

Syed Kashif Raza

dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho

Syed Kashif Raza

MORE BYSyed Kashif Raza

    dikhā.ī detī hai jo shakl vo banī na ho

    ajab nahīñ ki kahānī kahī ga.ī na ho

    jo kho chukā hai vahī ab ho merā sarmāya

    jo mil gayā hai mujhe vo mirī kamī na ho

    likhā rah na gayā ho kahīñ mirā qissa

    guzār hai jo vo merī zindagī na ho

    hai kaun jis ho tahrīr is qadar saffāk

    ye zindagī mirī apnī likhī huī na ho

    dikhā.ī detā bhī hai ik tilism aur agar

    maiñ jis meñ dekh rahā huuñ vo raushnī na ho

    vahāñ se ḳhvāb koī aur le uḌā ho use

    mirī nigāh tirī aañkh meñ rukī na ho

    ḳhudā-e-dahr mirā shu.ūr hai 'kāshif'

    to kā.enāt sāzish kahīñ mirī na ho

    dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho

    ajab nahin ki kahani kahi gai hi na ho

    jo kho chuka hai wahi ab ho mera sarmaya

    jo mil gaya hai mujhe wo meri kami hi na ho

    likha hi rah na gaya ho kahin mera qissa

    guzar di hai jo wo meri zindagi hi na ho

    hai kaun jis ki ho tahrir is qadar saffak

    ye zindagi meri apni likhi hui hi na ho

    dikhai deta bhi hai ek tilism aur agar

    main jis mein dekh raha hun wo raushni hi na ho

    wahan se KHwab koi aur le uDa ho use

    meri nigah teri aankh mein ruki hi na ho

    KHuda-e-dahr mera hi shuur hai 'kashif'

    to kaenat ki sazish kahin meri hi na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now