Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen

Aftab Iqbal Shamim

dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    dikhā.ī jā.egī shahr-e-shab meñ sahar tamsīl chal ke dekheñ

    sar-e-salīb īstāda hogā ḳhudā-e-injīl chal ke dekheñ

    guloñ ne band-e-qabā hai kholā, havā se bū-e-junūñ bhī aa.e

    kareñge is mausam-e-vafā meñ ham apnī takmīl chal ke dekheñ

    ġhanīm-e-shab ke ḳhilāf ab ke ziyāñ huī ġhaib gavāhī

    paḌā huā ḳhaak par shikasta par-e-abābīl chal ke dekheñ

    chune haiñ vo reza reza manzar, lahū lahū ho ga.ī haiñ āñkheñ

    chalo naa! us dukh ke rāste par safar tafsīl chal ke dekheñ

    fazā meñ uḌtā huā kahīñ se ajab nahīñ aks-e-barg aa.e

    ḳhizāñ ke be-rañg āsmāñ se aTī huī jhiil chal ke dekheñ

    luḌhak gayā shab koh-paimā zamīñ hamvāriyoñ jānib

    kahīñ havā gul na kar chukī ho anā qindīl chal ke dekheñ

    dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen

    sar-e-salib istada hoga KHuda-e-injil chal ke dekhen

    gulon ne band-e-qaba hai khola, hawa se bu-e-junun bhi aae

    karenge is mausam-e-wafa mein hum apni takmil chal ke dekhen

    ghanim-e-shab ke KHilaf ab ke ziyan hui ghaib ki gawahi

    paDa hua KHak par shikasta par-e-ababil chal ke dekhen

    chune hain wo reza reza manzar, lahu lahu ho gai hain aankhen

    chalo na! us dukh ke raste par safar ki tafsil chal ke dekhen

    faza mein uDta hua kahin se ajab nahin aks-e-barg aae

    KHizan ke be-rang aasman se aTi hui jhil chal ke dekhen

    luDhak gaya shab ka koh-paima zamin ki hamwariyon ki jaanib

    kahin hawa gul na kar chuki ho ana ki qindil chal ke dekhen

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 299)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now