Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

MORE BYRadhe Shiyam Rastogi Ahqar

    dikhāte haiñ adā kuchh bhī to aafat aa jaatī hai

    sambhal kar laakh chalte haiñ qayāmat aa jaatī hai

    mohabbat meñ haiñ sabr-o-shukr ke har-chand ham qaa.il

    magar kuchh kuchh kabhī lab par shikāyat aa jaatī hai

    jo sach pūchho to haiñ āshiq bhī pairav nāznīnoñ ke

    badan meñ nā-tavānī se nazākat aa jaatī hai

    majāz ik parda-e-idrāk hai to chashm-e-bīnā ko

    kisī sūrat nazar shakl-e-haqīqat aa jaatī hai

    nahīñ jazb-e-dil-e-āshiq se hai ma.ashūq ko chāra

    agar bedard bhī ho to mohabbat aa jaatī hai

    butān-e-sīm-tan ke vasl se ham faiz paate haiñ

    vo aate haiñ to apne ghar meñ daulat aa jaatī hai

    tire ash.ār-e-rañgīñ se bhalā farhat na ho 'ahqar'

    ki in phūloñ se ḳhushbū-e-fasāhat aa jaatī hai

    dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai

    sambhal kar lakh chalte hain qayamat aa hi jati hai

    mohabbat mein hain sabr-o-shukr ke har-chand hum qail

    magar kuchh kuchh kabhi lab par shikayat aa hi jati hai

    jo sach puchho to hain aashiq bhi pairaw nazninon ke

    badan mein na-tawani se nazakat aa hi jati hai

    majaz ek parda-e-idrak hai to chashm-e-bina ko

    kisi surat nazar shakl-e-haqiqat aa hi jati hai

    nahin jazb-e-dil-e-ashiq se hai mashuq ko chaara

    agar bedard bhi ho to mohabbat aa hi jati hai

    butan-e-sim-tan ke wasl se hum faiz pate hain

    wo aate hain to apne ghar mein daulat aa hi jati hai

    tere ashaar-e-rangin se bhala farhat na ho 'ahqar'

    ki in phulon se KHushbu-e-fasahat aa hi jati hai

    Source:

    Naqshha-e-rang rang (Pg. 54)

    • Author: Radhe Shiyaam Ahqar
      • Edition: 1953
      • Publisher: Nami Press Lucknow
      • Year of Publication: 1953
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now