dikhla ke yahi manzar baadal chala jata hai
dikhlā ke yahī manzar bādal chalā jaatā hai
paanī se makānoñ pe kaise likhā jaatā hai
us moḌ pe ham donoñ kuchh der bahut ro.e
jis moḌ se duniyā ko ik rāsta jaatā hai
donoñ se chalo pūchheñ us ko kahīñ dekhā hai
ik qāfila aatā hai ik qāfila jaatā hai
ik sham.a jalāte ho ik sham.a bujhāte ho
ye chāñd ubhartā hai dil Dūbtā jaatā hai
duniyā meñ kahīñ in kī ta.alīm nahīñ hotī
do-chār kitāboñ ko ghar meñ paḌhā jaatā hai
dikhla ke yahi manzar baadal chala jata hai
pani se makanon pe kaise likha jata hai
us moD pe hum donon kuchh der bahut roe
jis moD se duniya ko ek rasta jata hai
donon se chalo puchhen us ko kahin dekha hai
ek qafila aata hai ek qafila jata hai
ek shama jalate ho ek shama bujhate ho
ye chand ubharta hai dil Dubta jata hai
duniya mein kahin in ki talim nahin hoti
do-chaar kitabon ko ghar mein paDha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.