dil aise mubtala hua tere malal mein
dil aise mubtalā huā tere malāl meñ
zulfeñ safed ho ga.iiñ unnīs saal meñ
aise vo ro rahā thā mirā haal dekh kar
aayā huā ho jaise kisī intiqāl meñ
ye baat jāntī huuñ magar māntī nahīñ
din kaT rahe haiñ aaj bhī tere ḳhayāl meñ
ik baar mujh ko apnī nigahbānī sauñp de
'umreñ guzār dūñgī tirī dekh-bhāl meñ
vo to savāl pūchh ke aage nikal gayā
aTkī huī huuñ maiñ magar us ke savāl meñ
dil aise mubtala hua tere malal mein
zulfen safed ho gain unnis sal mein
aise wo ro raha tha mera haal dekh kar
aaya hua ho jaise kisi intiqal mein
ye baat jaanti hun magar manti nahin
din kaT rahe hain aaj bhi tere KHayal mein
ek bar mujh ko apni nigahbani saunp de
'umren guzar dungi teri dekh-bhaal mein
wo to sawal puchh ke aage nikal gaya
aTki hui hun main magar us ke sawal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.