dil bana hai hadaf-e-tir-e-nazar aap hi aap
dil banā hai hadaf-e-tīr-e-nazar aap hī aap
zaḳhm khaa.e haiñ shab-o-roz magar aap hī aap
ḳhauf-e-rahzan bhī nahīñ hājat-e-rahbar bhī nahīñ
rahguzar hai ḳhizar-e-rāhguzar aap hī aap
kuchh udhar se bhī taqāzā-e-vafā hone de
dil-e-nādāñ tū hī āġhāz na kar aap hī aap
ham ne maanā ki nazar ham na kareñge hargiz
aur khīñche koī dāman ko agar aap hī aap
laakh pardoñ meñ koī ḳhud ko chhupā.e bhī to kyā
jazb kar legī nazāroñ ko nazar aap hī aap
fikr-e-sāmān-e-takalluf ho 'asar' kyuuñ be-kār
ziist ho jā.egī aise hī basar aap hī aap
dil bana hai hadaf-e-tir-e-nazar aap hi aap
zaKHm khae hain shab-o-roz magar aap hi aap
KHauf-e-rahzan bhi nahin hajat-e-rahbar bhi nahin
rahguzar hai KHizar-e-rahguzar aap hi aap
kuchh udhar se bhi taqaza-e-wafa hone de
dil-e-nadan tu hi aaghaz na kar aap hi aap
hum ne mana ki nazar hum na karenge hargiz
aur khinche koi daman ko agar aap hi aap
lakh pardon mein koi KHud ko chhupae bhi to kya
jazb kar legi nazaron ko nazar aap hi aap
fikr-e-saman-e-takalluf ho 'asar' kyun be-kar
zist ho jaegi aise hi basar aap hi aap
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 227)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.