dil buton se na lagana hargiz
dil butoñ se na lagānā hargiz
un ke phande meñ na aanā hargiz
dil tujhe apnī hai gar jaan aziiz
kū-e-qātil meñ na jaanā hargiz
maañg baiThā vo to dil dene meñ
nahīñ banñe kā bahānā hargiz
andalībān-e-chaman ko sayyād
fasl-e-gul meñ na satānā hargiz
shikva-e-yār zabāñ par apnī
dil ḳhabar-dār na laanā hargiz
hadaf-e-tīr nigāh-e-qātil
murġh-e-dil ko na banānā hargiz
is se vābasta haiñ dil lākhoñ ke
zulf meñ khīñcho na shānā hargiz
rahne detā nahīñ insān ko yaañ
ik vatīre pe zamānā hargiz
inqalāb is meñ hai dam dam ai dil
is kā afsos na khānā hargiz
gar ḳhudā de tujhe taufīq ai 'aish'
dil kisī kā na dukhānā hargiz
dil buton se na lagana hargiz
un ke phande mein na aana hargiz
dil tujhe apni hai gar jaan aziz
ku-e-qatil mein na jaana hargiz
mang baiTha wo to dil dene mein
nahin banne ka bahana hargiz
andaliban-e-chaman ko sayyaad
fasl-e-gul mein na satana hargiz
shikwa-e-yar zaban par apni
dil KHabar-dar na lana hargiz
hadaf-e-tir nigah-e-qatil
murgh-e-dil ko na banana hargiz
is se wabasta hain dil lakhon ke
zulf mein khincho na shana hargiz
rahne deta nahin insan ko yan
ek watire pe zamana hargiz
inqalab is mein hai dam dam ai dil
is ka afsos na khana hargiz
gar KHuda de tujhe taufiq ai 'aish'
dil kisi ka na dukhana hargiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.