aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai

Shoaib Bin Aziz

dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai

Shoaib Bin Aziz

MORE BYShoaib Bin Aziz

    dil-e-ābād barbād bhī honā zarūrī hai

    jise paanā zarūrī hai use khonā zarūrī hai

    mukammal kis tarah hogā tamāsha barq-o-bārāñ

    tirā hañsnā zarūrī hai mirā ronā zarūrī hai

    bahut surḳh āñkheñ shahr meñ achchhī nahīñ lagtīñ

    tire jaage huoñ der tak sonā zarūrī hai

    kisī yaad se is umr meñ dil mulāqāteñ

    ThiThurtī shaam meñ ik dhuup konā zarūrī hai

    ye ḳhud-sar vaqt le jaa.e kahānī ko kahāñ jaane

    musannif kisī kirdār meñ honā zarūrī hai

    janāb-e-dil bahut nāzāñ na hoñ dāġh-e-mohabbat par

    ye duniyā hai yahāñ ye daaġh bhī dhonā zarūrī hai

    dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai

    jise pana zaruri hai use khona zaruri hai

    mukammal kis tarah hoga tamasha barq-o-baran ka

    tera hansna zaruri hai mera rona zaruri hai

    bahut si surKH aankhen shahr mein achchhi nahin lagtin

    tere jage huon ka der tak sona zaruri hai

    kisi ki yaad se is umr mein dil ki mulaqaten

    ThiThurti sham mein ek dhup ka kona zaruri hai

    ye KHud-sar waqt le jae kahani ko kahan jaane

    musannif ka kisi kirdar mein hona zaruri hai

    janab-e-dil bahut nazan na hon dagh-e-mohabbat par

    ye duniya hai yahan ye dagh bhi dhona zaruri hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shoaib Bin Aziz

    Shoaib Bin Aziz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now