Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-ashiq mein dagh hai kis ka

Rasikh Dehlvi

dil-e-ashiq mein dagh hai kis ka

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    dil-e-āshiq meñ daaġh hai kis

    ka.abe meñ ye charāġh hai kis

    dil paḌā daaġh baaġh hai kis

    chashm-e-pur-ḳhūñ ayāġh hai kis

    maiñ ne maanā ki vo nahīñ be-mehr

    āsmāñ par dimāġh hai kis

    kūcha-e-ġhair se tumheñ kyā kaam

    kaun thā ye surāġh hai kis

    kar ke chaurang mujh ko naaz se vo

    kahte haiñ chaar baaġh hai kis

    us but-e-bad-dimāġh hai jahāñ

    vo but-e-bad-dimāġh hai kis

    dāġh-e-dil jal rahā hai be-roġhan

    ye tilismī charāġh hai kis

    saañp sūñghe jo sūñgh le zulfeñ

    kis tāqat dimāġh hai kis

    soz-e-hijrāñ se daaġh daaġh hai kaun

    aaj dil bāġh-bāġh hai kis

    kis banda banā hai ai vaa.iz

    tere māthe pe daaġh hai kis

    sher-e-'rāsiḳh' vo sun ke kahte haiñ

    dil ye kis dimāġh hai kis

    dil-e-ashiq mein dagh hai kis ka

    kabe mein ye charagh hai kis ka

    dil paDa dagh bagh hai kis ka

    chashm-e-pur-KHun ayagh hai kis ka

    main ne mana ki wo nahin be-mehr

    aasman par dimagh hai kis ka

    kucha-e-ghair se tumhein kya kaam

    kaun tha ye suragh hai kis ka

    kar ke chaurang mujh ko naz se wo

    kahte hain chaar bagh hai kis ka

    us but-e-bad-dimagh ka hai jahan

    wo but-e-bad-dimagh hai kis ka

    dagh-e-dil jal raha hai be-roghan

    ye tilismi charagh hai kis ka

    sanp sunghe jo sungh le zulfen

    kis ki taqat dimagh hai kis ka

    soz-e-hijran se dagh dagh hai kaun

    aaj dil bagh-bagh hai kis ka

    kis ka banda bana hai ai waiz

    tere mathe pe dagh hai kis ka

    sher-e-'rasiKH' wo sun ke kahte hain

    dil ye kis ka dimagh hai kis ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now