Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga

Qabil Ajmeri

dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga

Qabil Ajmeri

MORE BYQabil Ajmeri

    dil-e-dīvāna arz-e-hāl par maa.il to kyā hogā

    magar vo pūchh baiThe ḳhud hāl-e-dil to kyā hogā

    hamārā kyā hameñ to Dūbnā hai Duub jā.eñge

    magar tūfān pahuñchā lab-e-sāhil to kyā hogā

    sharāb-e-nāb se hosh uḌ jaate haiñ insāñ ke

    tirā kaif-e-nazar bhī ho gayā shāmil to kyā hogā

    ḳhirad rahbarī ne to hameñ ye din dikhā.e haiñ

    junūñ ho jā.egā jab rahbar-e-manzil to kyā hogā

    koī pūchhe to sāhil par bharosa karne vāloñ se

    agar tūfāñ zad meñ aa gayā sāhil to kyā hogā

    ḳhud us zindagī ab us se barham hotī jaatī hai

    unheñ hogā bhī pās-e-ḳhātir-e-'qābil' to kyā hogā

    dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga

    magar wo puchh baiThe KHud hi haal-e-dil to kya hoga

    hamara kya hamein to Dubna hai Dub jaenge

    magar tufan ja pahuncha lab-e-sahil to kya hoga

    sharab-e-nab hi se hosh uD jate hain insan ke

    tera kaif-e-nazar bhi ho gaya shamil to kya hoga

    KHirad ki rahbari ne to hamein ye din dikhae hain

    junun ho jaega jab rahbar-e-manzil to kya hoga

    koi puchhe to sahil par bharosa karne walon se

    agar tufan ki zad mein aa gaya sahil to kya hoga

    KHud us ki zindagi ab us se barham hoti jati hai

    unhen hoga bhi pas-e-KHatir-e-'qabil' to kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now