dil-e-KHush-fahm ko nakaam nahin hone diya
dil-e-ḳhush-fahm ko nākām nahīñ hone diyā
us ko bhī shahr meñ badnām nahīñ hone diyā
is liye hai ye añdherā sā galī kūchoñ meñ
aap ne raushnī ko 'aam nahīñ hone diyā
jo milā ham se sadā ham ne tirī bāteñ kiiñ
tujh ko itnā kabhī gumnām nahīñ hone diyā
apne malboñ ke tale dafn the jo dafn rahe
shahr vāloñ ne koī kaam nahīñ hone diyā
bik ga.e ham sar-e-bāzār-e-anā phir bhī 'rashīd'
'ishq bad-zāt ko nīlām nahīñ hone diyā
dil-e-KHush-fahm ko nakaam nahin hone diya
us ko bhi shahr mein badnam nahin hone diya
is liye hai ye andhera sa gali kuchon mein
aap ne raushni ko 'am nahin hone diya
jo mila hum se sada hum ne teri baaten kin
tujh ko itna kabhi gumnam nahin hone diya
apne malbon ke tale dafn the jo dafn rahe
shahr walon ne koi kaam nahin hone diya
bik gae hum sar-e-bazar-e-ana phir bhi 'rashid'
'ishq bad-zat ko nilam nahin hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.