dil-e-nadan ki yun hi taraf-dari nahin karni
dil-e-nādān kī yuuñ hī taraf-dārī nahīñ karnī
mujhe be-rang jazboñ kī ḳharīdārī nahīñ karnī
agar sach bolnā jurmoñ meñ shāmil hai zamāne ke
to phir maiñ ne bhī merī jaan 'ayyārī nahīñ karnī
ye shāhoñ ke usūloñ par nahīñ chaltī mohabbat bhī
mujhe sikkoñ ke badle meñ ḳharīdārī nahīñ karnī
dil-e-nadan ki yun hi taraf-dari nahin karni
mujhe be-rang jazbon ki KHaridari nahin karni
agar sach bolna jurmon mein shamil hai zamane ke
to phir main ne bhi meri jaan 'ayyari nahin karni
ye shahon ke usulon par nahin chalti mohabbat bhi
mujhe sikkon ke badle mein KHaridari nahin karni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.