Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai

Mohammad Yusuf Rasikh

dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai

Mohammad Yusuf Rasikh

MORE BYMohammad Yusuf Rasikh

    dil-e-shaidā haqīqat mire maulā kyā hai

    jaan hāzir hai mirī aap se achchhā kyā hai

    ahmad aur ahmad-e-be-mīm pardā kyā hai

    aql-e-avval ko bhī hairat hai muammā kyā hai

    aap ke ġham ne tan-e-zār meñ chhoḌā kyā hai

    malak-ul-maut ye mujh se taqāzā kyā hai

    aish-e-imroz pe ḳhush haiñ ġham-e-fardā kyā hai

    maut aa jaa.e to mar jā.eñge jhagḌā kyā hai

    ham to mad.hosh paḌe rahte the mai-ḳhāne meñ

    kyā ḳhabar kātib-e-āmāl ne likkhā kyā hai

    aaj tak shahr-e-ḳhamoshāñ na kuchh haal khulā

    log kyā dekhne jaate haiñ tamāshā kyā hai

    arsa-e-hashr meñ hai aaj qayāmat giraft

    ab batā.e to koī nāzish-e-taqvā kyā hai

    sar to ham bhī na jhukā.eñge subuk-sar ho kar

    charḳh dushman hai to dushman sahī hotā kyā hai

    tum se haT kar kahīñ paḌtī nahīñ merī nazar

    tum tamannā ho mirī aur tamannā kyā hai

    dū-badū kyuuñ na kahūñ tum se jo kahnā hai mujhe

    dil meñ ghuT ghuT ke jo rah jaa.e vo shikvā kyā hai

    gul ke dāman pe kahīñ ḳhuun dhabba na lage

    tarz-e-fariyād ye ai bulbul-e-shaidā kyā hai

    mushkileñ saiñkaḌoñ har gaam pe pesh aatī haiñ

    DhūñDne vāloñ ne tujh ko abhī paayā kyā hai

    kyā batā.ūñ dil-e-ranjūr hālat tum ko

    vo to har roz bīmār hai achchhā kyā hai

    kalima paḌhtā huā qabr meñ utrā huuñ maiñ

    mere maz.hab ko nakīrain ne samjhā kyā hai

    ik na ik fikr lagī rahtī hai har dam mujh ko

    fikr-e-duniyā meñ paḌā huuñ ġham-e-uqbā kyā hai

    bāda-noshoñ ke duā karte bādal umDe

    aql hairān hai zāhid ye hotā kyā hai

    shab-e-me.arāj kyā shaan hai allāh allāh

    aaj dekhe to koī arsh-e-muallā kyā hai

    ab ke bhī rauza-e-aqdas pe rasā.ī na huī

    aur phir shūmī-e-taqdīr ronā kyā hai

    ai falak ham tujhe zālim nahīñ kahte lekin

    ġhaur se sun ki sadā-e-lab-e-duniyā kyā hai

    ġham-e-ulfat tavāzo.a jigar hai maujūd

    aur maqdūr merā is se ziyāda kyā hai

    murde uThte haiñ jab naam tirā sunte haiñ

    ham se pūchhe koī ejāz-e-masīhā kyā hai

    maslahat ye hai ki iz.hār-e-mohabbat na karūñ

    maut hai mere liye arz-e-tamannā kyā hai

    dil-e-raushan ko samajh ka.aba-nashīñ manzil

    dair kahte haiñ kise aur kalīsā kyā hai

    kabhī botal ko uThātā hai kabhī sāġhar ko

    nahīñ mālūm ki 'rāsiḳh' irāda kyā hai

    dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai

    jaan hazir hai meri aap se achchha kya hai

    ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai

    aql-e-awwal ko bhi hairat hai muamma kya hai

    aap ke gham ne tan-e-zar mein chhoDa kya hai

    malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai

    aish-e-imroz pe KHush hain gham-e-farda kya hai

    maut aa jae to mar jaenge jhagDa kya hai

    hum to madhosh paDe rahte the mai-KHane mein

    kya KHabar katib-e-amal ne likkha kya hai

    aaj tak shahr-e-KHamoshan ka na kuchh haal khula

    log kya dekhne jate hain tamasha kya hai

    arsa-e-hashr mein hai aaj qayamat ki giraft

    ab batae to koi nazish-e-taqwa kya hai

    sar to hum bhi na jhukaenge subuk-sar ho kar

    charKH dushman hai to dushman sahi hota kya hai

    tum se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar

    tum tamanna ho meri aur tamanna kya hai

    du-badu kyun na kahun tum se jo kahna hai mujhe

    dil mein ghuT ghuT ke jo rah jae wo shikwa kya hai

    gul ke daman pe kahin KHun ka dhabba na lage

    tarz-e-fariyaad ye ai bulbul-e-shaida kya hai

    mushkilen sainkaDon har gam pe pesh aati hain

    DhunDne walon ne tujh ko abhi paya kya hai

    kya bataun dil-e-ranjur ki haalat tum ko

    wo to har roz ka bimar hai achchha kya hai

    kalima paDhta hua qabr mein utra hun main

    mere mazhab ko nakirain ne samjha kya hai

    ek na ek fikr lagi rahti hai har dam mujh ko

    fikr-e-duniya mein paDa hun gham-e-uqba kya hai

    baada-noshon ke dua karte hi baadal umDe

    aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai

    shab-e-mearaj ki kya shan hai allah allah

    aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai

    ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasai na hui

    aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai

    ai falak hum tujhe zalim nahin kahte lekin

    ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai

    gham-e-ulfat ki tawazoa ki jigar hai maujud

    aur maqdur mera is se ziyaada kya hai

    murde ji uThte hain jab nam tera sunte hain

    hum se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai

    maslahat ye hai ki izhaar-e-mohabbat na karun

    maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai

    dil-e-raushan ko samajh kaba-nashin ki manzil

    dair kahte hain kise aur kalisa kya hai

    kabhi botal ko uThata hai kabhi saghar ko

    nahin malum ki 'rasiKH' ka irada kya hai

    Source:

    Auraq-e-Pareshan (Pg. 118)

    • Author: Mohammad Yusuf Rasikh
      • Publisher: Mohammad Yusuf Rasikh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now