Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-wahshat-shiar ki baaten

Sahar Rampuri

dil-e-wahshat-shiar ki baaten

Sahar Rampuri

MORE BYSahar Rampuri

    dil-e-vahshat-shi.ār bāteñ

    ab se anjām-e-kār bāteñ

    vo khulī chāñdnī vo sard havā

    vo mohabbat vo pyaar bāteñ

    merī jānib nigāh-e-lutf-asar

    jazb-e-kam-e.atibār bāteñ

    kitnī mā'sūm kis qadar mā'sūm

    husn-e-begāna-vār bāteñ

    be-qarārī vaj.h-e-taskīñ ho

    ek be-iḳhtiyār bāteñ

    har tabāhī ko marhabā kahiye

    zabt-e-nā-ḳhush-gavār bāteñ

    ai 'sahar' pastī-e-taḳhayyul hai

    zulf-o-gesū-e-yār bāteñ

    dil-e-wahshat-shiar ki baaten

    ab se anjam-e-kar ki baaten

    wo khuli chandni wo sard hawa

    wo mohabbat wo pyar ki baaten

    meri jaanib nigah-e-lutf-asar

    jazb-e-kam-eatibar ki baaten

    kitni ma'sum kis qadar ma'sum

    husn-e-begana-war ki baaten

    be-qarari hi wajh-e-taskin ho

    ek be-iKHtiyar ki baaten

    har tabahi ko marhaba kahiye

    zabt-e-na-KHush-gawar ki baaten

    ai 'sahar' pasti-e-taKHayyul hai

    zulf-o-gesu-e-yar ki baaten

    Source:

    Naqsh-e-Na-Tamam (Pg. 43)

    • Author: Sahar Rampuri
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now