Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka

Jameela Khuda Bakhsh

dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    dil-e-vīrāñ bhī thā maskan kisī

    usī meñ nuur thā raushan kisī

    gaḌhī hai aarzū zinda hai hasrat

    kisī ghar hai dil madfan kisī

    bapā hai shor-e-mahshar qatl-gah meñ

    kisī haath hai dāman kisī

    do-ālam ko tah-o-bālā na kar de

    badalnā naaz hai chitvan kisī

    gulistāñ meñ zarā kar to dekho

    kisī ḳhandgī shevan kisī

    bharosā charḳh par ai dil na karnā

    huā kab dost ye pur-fan kisī

    charāġh-e-ishq hai aañsū se raushan

    kisī ḳhūn-e-dil roġhan kisī

    tamannā shauq se nigarāñ hai is meñ

    kisī zaḳhm-e-dil rauzan kisī

    'jamīla' dasht meñ kahtī thī ro kar

    ilāhī dil na ho dushman kisī

    dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka

    usi mein nur tha raushan kisi ka

    gaDhi hai aarzu zinda hai hasrat

    kisi ka ghar hai dil madfan kisi ka

    bapa hai shor-e-mahshar qatl-gah mein

    kisi ka hath hai daman kisi ka

    do-alam ko tah-o-baala na kar de

    badalna naz hai chitwan kisi ka

    gulistan mein zara ja kar to dekho

    kisi ki KHandgi shewan kisi ka

    bharosa charKH par ai dil na karna

    hua kab dost ye pur-fan kisi ka

    charagh-e-ishq hai aansu se raushan

    kisi ka KHun-e-dil roghan kisi ka

    tamanna shauq se nigaran hai is mein

    kisi ka zaKHm-e-dil rauzan kisi ka

    'jamila' dasht mein kahti thi ro kar

    ilahi dil na ho dushman kisi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now