aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein

Saqib Rampuri

dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein

Saqib Rampuri

MORE BYSaqib Rampuri

    dil hai haqīqat-āshnā jalva-gah-e-majāz meñ

    husn-e-azal hai mustatar ishq soz-o-sāz meñ

    dil ko hai naaz ishq par rahguzar-e-majāz meñ

    saikḌoñ jalve haiñ nihāñ husn-e-nazar-navāz meñ

    ḳhvāhish-e-ilm hai fuzūl harf-e-ġhalat hai inkishāf

    ek tilism-e-rāz hai hastī-e-kārsāz meñ

    aah ye be-ḳhudī-e-ishq aah ye sādgī-e-dil

    lutf-o-karam hai talāsh husn-e-jafā-tarāz meñ

    ḳhaak sukūñ-pazīr ho merī hayāt-e-musta.ār

    hashr hashr haiñ nihāñ terī ḳhirām-e-nāz meñ

    dil mirā vaqf ho chukā jalva-e-rang rang

    nāsiya sajda-rez hai ka.aba-e-ḳhāna-sāz meñ

    dekh le is meñ haiñ nihāñ merī ubūdiyat ke raaz

    sajde ke jo nishān haiñ nāsiya-e-niyāz meñ

    terī samajh se hai buland hastī-e-rāz-e-kā.enāt

    aql pe kar na jabr koshish-e-imtiyāz meñ

    go hai sukūñ bhī ek chiiz par vo taḌap thī jāñ-fazā

    haa.e vo soz ab nahīñ parda-e-dil ke saaz meñ

    to ajal ke saath saath aa.e sahar kafan-badosh

    koī phir kamī na ho merī shab-e-darāz meñ

    chheḌ ke mujh ko ham-nafas mahv-e-tarab haiñ kis qadar

    nāla-e-ġham hai muztarib parda-e-dil ke saaz meñ

    kashmakash-e-hayāt meñ ai ajal iḳhtisār kar

    yaas rang aa chalā koshish-e-jalva-sāz meñ

    'sāqib'-e-mahv-e-be-ḳhudī tujh ko talāsh hai kahāñ

    sun vo sadā-e-dil-fareb apnī dil ke saaz meñ

    dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein

    husn-e-azal hai mustatar ishq ki soz-o-saz mein

    dil ko hai naz ishq par rahguzar-e-majaz mein

    saikDon jalwe hain nihan husn-e-nazar-nawaz mein

    KHwahish-e-ilm hai fuzul harf-e-ghalat hai inkishaf

    ek tilism-e-raaz hai hasti-e-karsaz mein

    aah ye be-KHudi-e-ishq aah ye sadgi-e-dil

    lutf-o-karam ki hai talash husn-e-jafa-taraaz mein

    KHak sukun-pazir ho meri hayat-e-mustaar

    hashr hi hashr hain nihan teri KHiram-e-naz mein

    dil mera waqf ho chuka jalwa-e-rang rang ka

    nasiya sajda-rez hai kaba-e-KHana-saz mein

    dekh le is mein hain nihan meri ubudiyat ke raaz

    sajde ke jo nishan hain nasiya-e-niyaz mein

    teri samajh se hai buland hasti-e-raaz-e-kaenat

    aql pe kar na jabr tu koshish-e-imtiyaz mein

    go hai sukun bhi ek chiz par wo taDap thi jaan-faza

    hae wo soz ab nahin parda-e-dil ke saz mein

    ya to ajal ke sath sath aae sahar kafan-badosh

    ya koi phir kami na ho meri shab-e-daraaz mein

    chheD ke mujh ko ham-nafas mahw-e-tarab hain kis qadar

    nala-e-gham hai muztarib parda-e-dil ke saz mein

    kashmakash-e-hayat mein ai ajal iKHtisar kar

    yas ka rang aa chala koshish-e-jalwa-saz mein

    'saqib'-e-mahw-e-be-KHudi tujh ko talash hai kahan

    sun wo sada-e-dil-fareb apni hi dil ke saz mein

    Source:

    Mata-e-dard (Pg. 151)

    • Author: Saqib Kanpuri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now