Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hai viran bayaban ki tarah

Ameeq Hanafi

dil hai viran bayaban ki tarah

Ameeq Hanafi

MORE BYAmeeq Hanafi

    dil hai vīrān bayābāñ tarah

    gosha-e-shahr-e-ḳhamoshāñ tarah

    haa.e vo jism tah-e-ḳhāk hai aaj

    jis ne rakkhā thā hameñ jaañ tarah

    sāhab-e-ḳhāna samajhte the jise

    chal diyā ghar se vo mehmāñ tarah

    chāñd sūraj gumāñ thā jis par

    bujh gayā sham-e-shabistāñ tarah

    sāya-e-atifat ab sar pe nahīñ

    sāya-e-abr-e-gurezāñ tarah

    hai agar apnā muqaddar bhī to hai

    tañg bas tañgī-e-dāmāñ tarah

    dil hai viran bayaban ki tarah

    gosha-e-shahr-e-KHamoshan ki tarah

    hae wo jism tah-e-KHak hai aaj

    jis ne rakkha tha hamein jaan ki tarah

    sahab-e-KHana samajhte the jise

    chal diya ghar se wo mehman ki tarah

    chand suraj ka guman tha jis par

    bujh gaya sham-e-shabistan ki tarah

    saya-e-atifat ab sar pe nahin

    saya-e-abr-e-gurezan ki tarah

    hai agar apna muqaddar bhi to hai

    tang bas tangi-e-daman ki tarah

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 458)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now