Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hamara gauhar-e-ghaltan-e-bahr-e-ishq hai

Aarifuddin Aajiz

dil hamara gauhar-e-ghaltan-e-bahr-e-ishq hai

Aarifuddin Aajiz

MORE BYAarifuddin Aajiz

    dil hamārā gauhar-e-ġhaltān-e-bahr-e-ishq hai

    dam hamārā shorish-e-tūfān-e-bahr-e-ishq hai

    Duub jaatā hai dil us mauj-e-betābi kuuñ dekh

    be-tarah ai bul-havas unvān-e-bahr-e-ishq hai

    ashk ne girdāb bāñdhā hai hamāre ās-pās

    kyūñki niklā jaa.e ye zindān-e-bahr-e-ishq hai

    dil Dūbānā ishq ke dariyā haigā ibtidā

    ġharq karnā jaan ko pāyān-e-bahr-e-ishq hai

    siipī āñkheñ ashk motī dil hai marjāñ machhlī aah

    ham haiñ 'ājiz' kyā balā sāmān-e-bahr-e-ishq hai

    dil hamara gauhar-e-ghaltan-e-bahr-e-ishq hai

    dam hamara shorish-e-tufan-e-bahr-e-ishq hai

    Dub jata hai dil us ki mauj-e-betabi kun dekh

    be-tarah ai bul-hawas unwan-e-bahr-e-ishq hai

    ashk ne girdab bandha hai hamare aas-pas

    kyunki nikla jae ye zindan-e-bahr-e-ishq hai

    dil Dubana ishq ke dariya ka haiga ibtida

    gharq karna jaan ko payan-e-bahr-e-ishq hai

    sipi aankhen ashk moti dil hai marjaan machhli aah

    hum hain 'ajiz' kya bala saman-e-bahr-e-ishq hai

    Source:

    (Pg. 168)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now