aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah

Ayush Charag

dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah

Ayush Charag

MORE BYAyush Charag

    dil hamārā ho gayā vīrān sahrā tarah

    mar gayā pyāsā yahāñ har ḳhvāb chiḌiyā tarah

    is apnī ravānī par nahīñ hai iḳhtiyār

    zindagī shiv jatāoñ meñ hai gañgā tarah

    har muqadma de rahā hai jism par koḌe hazār

    maiñ adālat meñ rakhā huuñ paak giitā tarah

    to koī chāhne vaalā yahāñ merā na ho

    aur koī ho to ho rādhā miirā tarah

    zindagī merī ab us qabr meñ mahfūz hai

    vo jo mere dil meñ rahtā hai tamannā tarah

    ek din mumkin hai maiñ islām chehra banūñ

    darmiyāñ logoñ ke huuñ filhāl charchā tarah

    daaġh haiñ jān-o-jigar meñ dil banā hai aag se

    'mīr' huuñ par haiñ mire ash.ār 'saudā' tarah

    dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah

    mar gaya pyasa yahan har KHwab chiDiya ki tarah

    is ka apni hi rawani par nahin hai iKHtiyar

    zindagi shiw ki jataon mein hai ganga ki tarah

    har muqadma de raha hai jism par koDe hazar

    main adalat mein rakha hun pak gita ki tarah

    ya to koi chahne wala yahan mera na ho

    aur koi ho to ho radha ya mera ki tarah

    zindagi meri ab us ki qabr mein mahfuz hai

    wo jo mere dil mein rahta hai tamanna ki tarah

    ek din mumkin hai main islam ka chehra banun

    darmiyan logon ke hun filhaal charcha ki tarah

    dagh hain jaan-o-jigar mein dil bana hai aag se

    'mir' hun par hain mere ashaar 'sauda' ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now