Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil jalao na miyan rahne do

Kiswar Kolari

dil jalao na miyan rahne do

Kiswar Kolari

MORE BYKiswar Kolari

    dil jalāo na miyāñ rahne do

    phail jā.egā dhuāñ rahne do

    be-vaj.h tum na uchhālo mujh ko

    yūñhī benām-o-nishāñ rahne do

    maiñ ne tāj-mahal tā'mīr

    kaun hai shāh-jahāñ rahne do

    taaza chingāriyāñ bhar do is meñ

    zehn ko sho'la-fishāñ rahne do

    āstīnoñ meñ chhupe haiñ ḳhanjar

    dost haiñ dushman-e-jāñ rahne do

    tum karishme na dikhāo 'kishvar''

    ḳhuub vāqif hai jahāñ rahne do

    dil jalao na miyan rahne do

    phail jaega dhuan rahne do

    be-wajh tum na uchhaalo mujh ko

    yunhi benam-o-nishan rahne do

    main ne ki taj-mahal ki ta'mir

    kaun hai shah-jahan rahne do

    taza chingariyan bhar do is mein

    zehn ko sho'la-fishan rahne do

    aastinon mein chhupe hain KHanjar

    dost hain dushman-e-jaan rahne do

    tum karishme na dikhao 'kishwar

    KHub waqif hai jahan rahne do

    Source:

    Aathwan Asman (Pg. 57)

    • Author: Kiswar Kolari
      • Publisher: Kiswar Kolari
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now