Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai

saabir jauharii

dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai

saabir jauharii

MORE BYsaabir jauharii

    dil jis aa.ine tarah pāk-sāf hai

    kyā baat hai zamāna usī ke ḳhilāf hai

    vo shaḳhs kar rahā hai mohabbat qatl-e-ām

    nafrat jis fikr pe har dam ġhilāf hai

    sajda namāz-e-shauq kartī haiñ titliyāñ

    dāman har ek gul bahut pāk-sāf hai

    ham ne ḳhudā banā diyā jis ko tarāsh kar

    vo sang-e-rāh aaj hamāre ḳhilāf hai

    duniyā samajh rahī hai mujhe sāhib-e-zabāñ

    merā bhī par durust kahāñ shiin qaaf hai

    ho rahā hai lazzat-e-duniyā se shād-kām

    'sābir' batā ye kaisā tirā etakāf hai

    dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai

    kya baat hai zamana usi ke KHilaf hai

    wo shaKHs kar raha hai mohabbat ka qatl-e-am

    nafrat ka jis ki fikr pe har dam ghilaf hai

    sajda namaz-e-shauq ka karti hain titliyan

    daman har ek gul ka bahut pak-saf hai

    hum ne KHuda bana diya jis ko tarash kar

    wo sang-e-rah aaj hamare KHilaf hai

    duniya samajh rahi hai mujhe sahib-e-zaban

    mera bhi par durust kahan shin qaf hai

    tu ho raha hai lazzat-e-duniya se shad-kaam

    'sabir' bata ye kaisa tera etakaf hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now