Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

Syed Zia Alvi

dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

Syed Zia Alvi

MORE BYSyed Zia Alvi

    dil dilbar jab se dil dhaḌkan hone vaalā hai

    suunā suunā merā āñgan gulshan hone vaalā hai

    us āñkhoñ meñ bhī har dam aks mirā rahtā hai

    ab to merā chehra us darpan hone vaalā hai

    naaz karūñ faḳhr karūñ maiñ sab kuchh hai lāzim mujh ko

    rafta rafta dil meñ us maskan hone vaalā hai

    pyaar ke jazbe us ke dil meñ jaage haiñ aur jāgeñge

    merī qismat bhī taarā raushan hone vaalā hai

    us se mil kar dil jañgal bhiig rahā hai us ke aise

    sāvan se bhī pahle jaise sāvan hone vaalā hai

    dekh ke us sundartā ko sab sundar ho jaate haiñ

    us galī har ik chehra kundan hone vaalā hai

    us mohabbat ke sadqe meñ us mohak chāhat meñ

    ab to 'ziyā' bhaag yaqīnan raushan hone vaalā hai

    dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

    suna suna mera aangan gulshan hone wala hai

    us ki aankhon mein bhi har dam aks mera hi rahta hai

    ab to mera chehra us ka darpan hone wala hai

    naz karun ya faKHr karun main sab kuchh hai lazim mujh ko

    rafta rafta dil mein us ka maskan hone wala hai

    pyar ke jazbe us ke dil mein jage hain aur jagenge

    meri qismat ka bhi tara raushan hone wala hai

    us se mil kar dil ka jangal bhig raha hai us ke aise

    sawan se bhi pahle jaise sawan hone wala hai

    dekh ke us ki sundarta ko sab sundar ho jate hain

    us ki gali ka har ek chehra kundan hone wala hai

    us ki mohabbat ke sadqe mein us ki mohak chahat mein

    ab to 'ziya' ka bhag yaqinan raushan hone wala hai

    Source :
    • Book : Qausain (Pg. 115)
    • Author : Syed Zia Alvi
    • Publication : Syed Zia Alvi (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now