dil ka hath banTane wala koi nahin hai
dil kā haath bañTāne vaalā koī nahīñ hai
ḳhair tujhe samjhāne vaalā koī nahīñ hai
koī hotā bhī to apnī baat banātā
apnī baat banāne vaalā koī nahīñ hai
jis ko jo hāsil hai use khone meñ lagā hai
kho.e huoñ ko paane vaalā koī nahīñ hai
darvāze par bhiiḌ lagā.e khaḌī hai duniyā
dil ko lekin bhāne vaalā koī nahīñ hai
donoñ soch rahe haiñ bāteñ karte karte
bātoñ meñ aa jaane vaalā koī nahīñ hai
is raste par aañkh bichā.ī jaa.e 'tarkash'
is raste par aane vaalā koī nahīñ hai
dil ka hath banTane wala koi nahin hai
KHair tujhe samjhane wala koi nahin hai
koi hota bhi to apni baat banata
apni baat banane wala koi nahin hai
jis ko jo hasil hai use khone mein laga hai
khoe huon ko pane wala koi nahin hai
darwaze par bhiD lagae khaDi hai duniya
dil ko lekin bhane wala koi nahin hai
donon soch rahe hain baaten karte karte
baaton mein aa jaane wala koi nahin hai
is raste par aankh bichai jae 'tarkash'
is raste par aane wala koi nahin hai
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 84)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.