Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka har dard kho gaya jaise

Javed Akhtar

dil ka har dard kho gaya jaise

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    dil har dard kho gayā jaise

    maiñ to patthar ho gayā jaise

    daaġh baaqī nahīñ ki naqsh kahūñ

    koī dīvār dho gayā jaise

    jāgtā zehn ġham dhuup meñ thā

    chhāñv paate so gayā jaise

    dekhne vaalā thā kal us tapāk

    phir se vo ġhair ho gayā jaise

    kuchh bichhaḌne ke bhī tarīqe haiñ

    ḳhair jaane do jo gayā jaise

    dil ka har dard kho gaya jaise

    main to patthar ka ho gaya jaise

    dagh baqi nahin ki naqsh kahun

    koi diwar dho gaya jaise

    jagta zehn gham ki dhup mein tha

    chhanw pate hi so gaya jaise

    dekhne wala tha kal us ka tapak

    phir se wo ghair ho gaya jaise

    kuchh bichhaDne ke bhi tariqe hain

    KHair jaane do jo gaya jaise

    Source:

    Lava (Pg. 101)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now