aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango

Malikzaada Manzoor Ahmad

dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango

Malikzaada Manzoor Ahmad

MORE BYMalikzaada Manzoor Ahmad

    dil har qatra-e-ḳhūñ rañg-e-hinā se māñgo

    ḳhūñ-bahā dosto qātil adā se māñgo

    mat banāo yad-e-baizā ko gadā kashkol

    vaqt fir.aun ho jab zarb-e-asā se māñgo

    jab barasne se baḌhe tishna-labī ehsās

    yūrish-e-barq sāvan ghaTā se māñgo

    kab talak shāḳh-e-vafā lā.egī zaḳhmoñ ke gulāb

    koī tāsīr na.ī āb-o-havā se māñgo

    mom tarah pighal jā.egā shab faulād

    dast-e-dā.ūd taufīq ḳhudā se māñgo

    dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango

    KHun-baha dosto qatil ki ada se mango

    mat banao yad-e-baiza ko gada ka kashkol

    waqt firaun ho jab zarb-e-asa se mango

    jab barasne se baDhe tishna-labi ka ehsas

    yurish-e-barq hi sawan ki ghaTa se mango

    kab talak shaKH-e-wafa laegi zaKHmon ke gulab

    koi tasir nai aab-o-hawa se mango

    mom ki tarah pighal jaega shab ka faulad

    dast-e-daud ki taufiq KHuda se mango

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now