Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka sara ghor andhera dur hua

Kalim Akhtar

dil ka sara ghor andhera dur hua

Kalim Akhtar

MORE BYKalim Akhtar

    dil saarā ghor añdherā duur huā

    kis hai ye nuur jo maiñ pur-nūr huā

    zaḳhm risā phir zaḳhm-e-dil nāsūr huā

    rafta rafta jaise bhāgalpūr huā

    yuuñ to ham ne qisse likkhe rañgā-rañg

    lekin ġham qissa mash.hūr huā

    paanī paanī chīḳh rahā thā pyāsā dil

    shahr-e-sitam kaisā ye dastūr huā

    kaisā mulk-shor bapā hai ḳheme meñ

    āñkheñ suunī dil shīsha chuur huā

    ab ke mausam sadiyoñ tahzībī rañg

    ḳhatm huā barbād huā kāfūr huā

    shahr meñ tere kis se gilā phir karte ham

    'aḳhtar' jab apnā saaya duur huā

    dil ka sara ghor andhera dur hua

    kis ka hai ye nur jo main pur-nur hua

    zaKHm risa phir zaKHm-e-dil nasur hua

    rafta rafta jaise bhagalpur hua

    yun to hum ne qisse likkhe ranga-rang

    lekin gham ka qissa hi mashhur hua

    pani pani chiKH raha tha pyasa dil

    shahr-e-sitam ka kaisa ye dastur hua

    kaisa mulk-shor bapa hai KHeme mein

    aankhen suni dil ka shisha chur hua

    ab ke mausam sadiyon ka tahzibi rang

    KHatm hua barbaad hua kafur hua

    shahr mein tere kis se gila phir karte hum

    'aKHtar' jab apna hi saya dur hua

    Source:

    Khayal aab (Pg. 86)

    • Author: kalim Akhtar
      • Edition: 2007
      • Publisher: Bazm-e-magadh
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now