Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke aangan mein jo diwar uTha li jae

Sajid Premi

dil ke aangan mein jo diwar uTha li jae

Sajid Premi

MORE BYSajid Premi

    dil ke āñgan meñ jo dīvār uThā jaa.e

    ek khiḌkī bhī mohabbat banā jaa.e

    paak sīrat haiñ bahut nuur paikar haiñ vo

    zehn meñ husn tasvīr banā jaa.e

    zer karne ke liye laakh tarīqe DhūñDo

    kyā zarūrī hai ki dastār uchhālī jaa.e

    zehn chāhat ḳhushbū se mo.attar hogā

    zehn meñ baat adāvat na paalī jaa.e

    aam rasta hai yahāñ bhiiḌ milegī tum ko

    matlabī raah pe ye ziist na Dhālī jaa.e

    ek kam-zarf ke ehsān tale dab jaanā

    is se behtar hai ki kashkol uThā jaa.e

    kījiye aap to mehmān-navāzī 'sājid'

    gar hai zahmat to ye zahmat bhī uThā jaa.e

    dil ke aangan mein jo diwar uTha li jae

    ek khiDki bhi mohabbat ki bana li jae

    pak sirat hain bahut nur ka paikar hain wo

    zehn mein husn ki taswir bana li jae

    zer karne ke liye lakh tariqe DhunDo

    kya zaruri hai ki dastar uchhaali jae

    zehn chahat ki hi KHushbu se moattar hoga

    zehn mein baat adawat ki na pali jae

    aam rasta hai yahan bhiD milegi tum ko

    matlabi rah pe ye zist na Dhaali jae

    ek kam-zarf ke ehsan tale dab jaana

    is se behtar hai ki kashkol uTha li jae

    kijiye aap to mehman-nawazi 'sajid'

    gar hai zahmat to ye zahmat bhi uTha li jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now