Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke arman dil hi dil mein rah gae

Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

dil ke arman dil hi dil mein rah gae

Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri

    dil ke armāñ dil dil meñ rah ga.e

    aah jaate jaate ye sab kah ga.e

    umr bhar puujā kiye ḳhvāboñ ke but

    jab haqīqat khul ga.ī sab Dheh ga.e

    bahr-e-hastī kashākash meñ nadīm

    chand tinkoñ tarah the bah ga.e

    ho ga.e barbād dard-e-dil ke haath

    haa.e kyā auroñ ke ġham bhī sah ga.e

    dosto ab ke hameñ rakhnā muaaf

    be-ḳhudī meñ jaane kyā kyā kah ga.e

    dil ke arman dil hi dil mein rah gae

    aah jate jate ye sab kah gae

    umr bhar puja kiye KHwabon ke but

    jab haqiqat khul gai sab Dheh gae

    bahr-e-hasti ki kashakash mein nadim

    chand tinkon ki tarah the bah gae

    ho gae barbaad dard-e-dil ke hath

    hae kya auron ke gham bhi sah gae

    dosto ab ke hamein rakhna muaf

    be-KHudi mein jaane kya kya kah gae

    Source:

    Teesha-e-Gul (Pg. 193)

    • Author: Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
      • Publisher: Wilayat Ali Shaheedi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now