Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah

Ankit Maurya

dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah

Ankit Maurya

MORE BYAnkit Maurya

    dil ke ḳhātir ye badan hai qaid-ḳhāne tarah

    so lagā hai phaḌphaḌāne ye parinde tarah

    ho parī koī koī phuul ho kyā huā

    koī bhī pyārā nahīñ hai us ke chehre tarah

    chāñd hai jo āsmāñ meñ vo to hai us jabīñ

    aur taare haiñ ye saare us ke jhumke tarah

    dekhtā kyuuñ na jā.ūñ baiTh ke maiñ bas use

    us chehra hai hasīñ koī nazāre tarah

    kāTtī haiñ ba.ad tere roz rāteñ mujhe

    yaad terī siine pe chaltī hai aare tarah

    ham in āñkhoñ se use har roz paḌhte aa.e haiñ

    vo badan to yaad hai do ke pahāḌe tarah

    dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah

    so laga hai phaDphaDane ye parinde ki tarah

    ho pari koi ya koi phul hi ho kya hua

    koi bhi pyara nahin hai us ke chehre ki tarah

    chand hai jo aasman mein wo to hai us ki jabin

    aur tare hain ye sare us ke jhumke ki tarah

    dekhta hi kyun na jaun baiTh ke main bas use

    us ka chehra hai hasin koi nazare ki tarah

    kaTti hain baad tere roz hi raaten mujhe

    yaad teri sine pe chalti hai aare ki tarah

    hum in aankhon se use har roz paDhte aae hain

    wo badan to yaad hai do ke pahaDe ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now