Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin

Aslam Noor Aslam

dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin

Aslam Noor Aslam

MORE BYAslam Noor Aslam

    dil bāteñ dil se karnā itnā bhī āsān nahīñ

    ḳhud ḳhātir ḳhud meñ rahnā itnā bhī āsān nahīñ

    pal jo guzre terī ḳhātir mad-hoshī ke aalam meñ

    ḳhāmoshī meñ sunte rahnā itnā bhī āsān nahīñ

    hijr shab jab chāñd ko dekhā to mujh ko mahsūs huā

    apne aap meñ til til mārnā itnā bhī āsān nahīñ

    aap vafā ke paikar the ham vafā ko samjhe nahīñ

    ḳhud ko ilzām ye denā itnā bhī āsān nahīñ

    tum se bichhaḌ ke yaad tumhārī shāz-o-nādir aa.ī

    Duubī āñkhoñ se ye kahnā itnā bhī āsān nahīñ

    'aslam' aap haiñ sab se achchhe aur us par ma.asūm bahut

    phūloñ ke ye nashtar sahnā itnā bhī āsān nahīñ

    dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin

    KHud ki KHatir KHud mein rahna itna bhi aasan nahin

    pal jo guzre teri KHatir mad-hoshi ke aalam mein

    KHamoshi mein sunte rahna itna bhi aasan nahin

    hijr ki shab jab chand ko dekha to mujh ko mahsus hua

    apne aap mein til til marna itna bhi aasan nahin

    aap wafa ke paikar the hum hi wafa ko samjhe nahin

    KHud ko hi ilzam ye dena itna bhi aasan nahin

    tum se bichhaD ke yaad tumhaari shaz-o-nadir hi aai

    Dubi aankhon se ye kahna itna bhi aasan nahin

    'aslam' aap hain sab se achchhe aur us par masum bahut

    phulon ke ye nashtar sahna itna bhi aasan nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now