Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki dhaDkan matami dhun sans ko zanjir kahna

Shahid Meer

dil ki dhaDkan matami dhun sans ko zanjir kahna

Shahid Meer

MORE BYShahid Meer

    dil dhaḌkan mātamī dhun saañs ko zanjīr kahnā

    koī gar pūchhe to apne ahd tafsīr kahnā

    har-qadam par bandishoñ pābandiyoñ zikr karnā

    aur us ko hākimān-e-vaqt tahrīr kahnā

    kab talak ma.asūm chehroñ ko sitam-pesha likhoge

    aañkh ko ḳhanjar batānā zulf ko zanjīr kahnā

    vo ghane ashjār vo saa.e to ruḳhsat ho chuke lab

    dhuul ko mīrās likhnā ret ko jāgīr kahnā

    ḳhāmushī gauhar-e-nāyāb rakhnā paas lekin

    baat kahne agar ho tum bhī 'shāhid-mīr' kahnā

    dil ki dhaDkan matami dhun sans ko zanjir kahna

    koi gar puchhe to apne ahd ki tafsir kahna

    har-qadam par bandishon pabandiyon ka zikr karna

    aur us ko hakiman-e-waqt ki tahrir kahna

    kab talak masum chehron ko sitam-pesha likhoge

    aankh ko KHanjar batana zulf ko zanjir kahna

    wo ghane ashjar wo sae to ruKHsat ho chuke lab

    dhul ko miras likhna ret ko jagir kahna

    KHamushi ka gauhar-e-nayab rakhna pas lekin

    baat kahne ki agar ho tum bhi 'shahid-mir' kahna

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 669)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now