Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki kahun ya kahun jigar ki

Shad Lakhnavi

dil ki kahun ya kahun jigar ki

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    dil kahūñ kahūñ jigar

    kuchh baat karūñ idhar-udhar

    lau dil bujhā.eñ jigar

    leñ ashk ḳhabar kidhar kidhar

    uThne na diyā hameñ mare par

    zo.af ne āqibat pisar

    ghaḌiyāl nasīb huuñ shab-e-vasl

    sar choT hai har ghaḌī gajar

    Dhalne ko hai mehr-e-naujavānī

    chhuTne pe hai top dopahar

    kyā kam-suḳhanoñ ko sham.a kahiye

    sham.oñ zabāñ hai haath bhar

    marqad meñ chale rah-e-adam

    sūjhī jo musāfirat meñ ghar

    kākul huī tar araq se ruḳh ke

    saañp ne us phuul par

    qabr meñ ḳhaak bhale ai 'shād'

    bastī hai ujaaḌ is nagar

    dil ki kahun ya kahun jigar ki

    kuchh baat karun idhar-udhar ki

    lau dil ki bujhaen ya jigar ki

    len ashk KHabar kidhar kidhar ki

    uThne na diya hamein mare par

    li zoaf ne aaqibat pisar ki

    ghaDiyal nasib hun shab-e-wasl

    sar choT hai har ghaDi gajar ki

    Dhalne ko hai mehr-e-naujawani

    chhuTne pe hai top dopahar ki

    kya kam-suKHanon ko shama kahiye

    shamon ki zaban hai hath bhar ki

    marqad mein chale rah-e-adam li

    sujhi jo musafirat mein ghar ki

    kakul hui tar araq se ruKH ke

    pi sanp ne us phul par ki

    ji qabr mein KHak bhale ai 'shad'

    basti hai ujaD is nagar ki

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-111 e-117 pdf-118)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now