Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal

Krishna Mohan

dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    dil rakhnā dekh bhaal ai dil-bar-e-rañgīñ-jamāl

    hai bahut nāzuk ye shīsha is meñ aa jaa.e na baal

    ārzū-mandī meñ bhī mushkil-pasandī junūñ

    dil usī ko chāhtā hai jis milnā hai muhāl

    ik faqīr-e-be-navā ne mujh ko samjhāyā ye raaz

    dard daulat ke aage hech haiñ maal o manāl

    apnī kam-zarfī ġham hai aur koī ġham nahīñ

    dil se terā ġham na sambhlā mujh ko hai bas ye malāl

    itnī ḳhālī bhī nahīñ duniyā ḳhulūs-e-qalb se

    aa jaate haiñ nazar ham aise muḳhlis ḳhaal ḳhaal

    kirshn 'mohan' tab.a par taarī hai aisī be-hisī

    ishq hai ziyāñ aur husn hai jaañ vabāl

    dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal

    hai bahut nazuk ye shisha is mein aa jae na baal

    aarzu-mandi mein bhi mushkil-pasandi ka junun

    dil usi ko chahta hai jis ka milna hai muhaal

    ek faqir-e-be-nawa ne mujh ko samjhaya ye raaz

    dard ki daulat ke aage hech hain mal o manal

    apni kam-zarfi ka gham hai aur koi gham nahin

    dil se tera gham na sambhla mujh ko hai bas ye malal

    itni KHali bhi nahin duniya KHulus-e-qalb se

    aa hi jate hain nazar hum aise muKHlis KHal KHal

    kirshn 'mohan' taba par tari hai aisi be-hisi

    ishq hai ji ka ziyan aur husn hai jaan ka wabaal

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now