Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki taskin ki dawa kya hai

Hani Barelvi

dil ki taskin ki dawa kya hai

Hani Barelvi

MORE BYHani Barelvi

    dil taskīn davā kyā hai

    dostoñ se bhalā chhupā kyā hai

    is zamāne ko kyā pata kyā hai

    mere kamre aa.ina kiyā hai

    ye lahū to nahīñ mire mahbūb

    terī rag rag meñ dauḌtā kyā hai

    hijr ke din visāl rāteñ

    chāhne vaale chāhtā kyā hai

    ishq tanhā.ī shā.erī cigarette

    aur is ke sivā bachā kyā hai

    un ke dar se uThā to bhuul gayā

    ghar ko jaane rāsta kyā hai

    sar ko sajde meñ rakh diyā jaa.e

    ishq aur tarjuma kyā hai

    vo jo mash.hūr kar rahā hai mujhe

    mere baare meñ jāntā kyā hai

    rāsta jab na rok paayā sitam

    phir ye talvoñ aabla kyā hai

    jism do ek ho ga.e kah kar

    āshiqī meñ tirā mirā kyā hai

    ruk ga.e kahte kahte is dil meñ

    us ne jis vaqt ye kahā kyā hai

    ḳhair achchhā huā ke ai 'hānī'

    vo na samjhe ke mājrā kyā hai

    dil ki taskin ki dawa kya hai

    doston se bhala chhupa kya hai

    is zamane ko kya pata kya hai

    mere kamre ka aaina kiya hai

    ye lahu to nahin mere mahbub

    teri rag rag mein dauDta kya hai

    hijr ke din visal ki raaten

    chahne wale chahta kya hai

    ishq tanhai shaeri cigarette

    aur is ke siwa bacha kya hai

    un ke dar se uTha to bhul gaya

    ghar ko jaane ka rasta kya hai

    sar ko sajde mein rakh diya jae

    ishq ka aur tarjuma kya hai

    wo jo mashhur kar raha hai mujhe

    mere bare mein jaanta kya hai

    rasta jab na rok paya sitam

    phir ye talwon ka aabla kya hai

    jism do ek ho gae kah kar

    aashiqi mein tera mera kya hai

    ruk gae kahte kahte is dil mein

    us ne jis waqt ye kaha kya hai

    KHair achchha hua ke ai 'hani'

    wo na samjhe ke majra kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now