Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki tauhin na kar dard sunane wale

Shabbir Shahid

dil ki tauhin na kar dard sunane wale

Shabbir Shahid

MORE BYShabbir Shahid

    dil tauhīn na kar dard sunāne vaale

    is zamāne meñ ziyāda haiñ zamāne vaale

    is galī se bhī kabhī khol ke zulfoñ ko guzar

    sar pe rakkhe hue ḳhushbū ke ḳhazāne vaale

    aañkh tā۔bīr dahlīz pe rakkhī huī hai

    ḳhvāb bhī dekhe haiñ nīñdoñ ko uḌāne vaale

    rāhat-e-jāñ hai tirī saañs ḳhushbū jānāñ

    phūñk mantar ye mujhe hosh meñ laane vaale

    andhī āñkhoñ pe mat bāñdh havas paTTī

    toḌ kar ḳhvāb na.e ḳhvāb dikhāne vaale

    mirā thā to tirā naam sahārā bhī thā

    chhoḌ kar mujh ko vajūd apnā gañvāne vaale

    vaqt jiddat ke ta.āqub meñ kahāñ le aaya

    diin sikhlā.enge ab nāchne gaane vaale

    bin tire saañs ehsān jatātā huā jism

    chhoḌne vaalā huuñ ai chhoḌ ke jaane vaale

    aaj bhī mere laḌakpan ko dekhe 'shāhid'

    kaash lauT aa.eñ mire dost purāne vaale

    dil ki tauhin na kar dard sunane wale

    is zamane mein ziyaada hain zamane wale

    is gali se bhi kabhi khol ke zulfon ko guzar

    sar pe rakkhe hue KHushbu ke KHazane wale

    aankh ta۔bir ki dahliz pe rakkhi hui hai

    KHwab bhi dekhe hain nindon ko uDane wale

    rahat-e-jaan hai teri sans ki KHushbu jaanan

    phunk mantar ye mujhe hosh mein lane wale

    andhi aankhon pe tu mat bandh hawas ki paTTi

    toD kar KHwab nae KHwab dikhane wale

    tu mera tha to tera nam sahaara bhi tha

    chhoD kar mujh ko wajud apna ganwane wale

    waqt jiddat ke taaqub mein kahan le aaya

    din sikhlaenge ab nachne gane wale

    bin tere sans ka ehsan jatata hua jism

    chhoDne wala hun ai chhoD ke jaane wale

    aaj bhi mere laDakpan ko tu dekhe 'shahid'

    kash lauT aaen mere dost purane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now