Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

Meer Hasan

dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    dil zamīñ se kaun behtar zamīn hai

    par jaan bhī ho to ajab sar-zamīn hai

    sar ko na pheñk apne falak par ġhurūr se

    ḳhaak se banā hai tirā ghar zamīn hai

    rotā phirā hai kaun ye sar-gashta ai falak

    jīdhar nazar paḌe hai udhar tar zamīn hai

    ā.īne tarah se nazar hai dekh le

    raushan-diloñ ghar munavvar zamīn hai

    shāyad nahā ke aaj nichoḌī hai ne zulf

    ghar tamām terī muambar zamīn hai

    giitī ne zer-e-charḳh rakhā hai sabhoñ ko thaam

    is kashtī-e-jahān lañgar zamīn hai

    le dil se chashm tak mire dariyā hai bharā

    donoñ gharoñ ġharq sarāsar zamīn hai

    avval yahī hai bā.is-e-ḳhūñ-rezī-e-jahāñ

    zevar hai zan hai zor hai zan zamīn hai

    is tañgnā-e-dahr se jā.ūñ kidhar nikal

    ūdhar hai āsmān aur īdhar zamīn hai

    juz ḳhūn-e-kohkan na uge vaañ se koī gul

    shīrīñ rāh-e-ishq patthar zamīn hai

    rauñde ho naqsh-e-pā tarah jis ko tum 'hasan'

    dekhoge koī din yahī sar par zamīn hai

    dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

    par jaan tu bhi ho to ajab sar-zamin hai

    sar ko na phenk apne falak par ghurur se

    tu KHak se bana hai tera ghar zamin hai

    rota phira hai kaun ye sar-gashta ai falak

    jidhar nazar paDe hai udhar tar zamin hai

    aaine ki tarah se nazar hai tu dekh le

    raushan-dilon ki ghar ki munawwar zamin hai

    shayad naha ke aaj nichoDi hai tu ne zulf

    ghar ki tamam teri muambar zamin hai

    giti ne zer-e-charKH rakha hai sabhon ko tham

    is kashti-e-jahan ki langar zamin hai

    le dil se chashm tak mere dariya sa hai bhara

    donon gharon ki gharq sarasar zamin hai

    awwal yahi hai bais-e-KHun-rezi-e-jahan

    zewar hai zan hai zor hai ya zan zamin hai

    is tangna-e-dahr se jaun kidhar nikal

    udhar hai aasman aur idhar zamin hai

    juz KHun-e-kohkan na uge wan se koi gul

    shirin ki rah-e-ishq ki patthar zamin hai

    raunde ho naqsh-e-pa ki tarah jis ko tum 'hasan'

    dekhoge koi din yahi sar par zamin hai

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 108)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now