dil ko aamada-e-wafa rakhiye
dil ko āmāda-e-vafā rakhiye
āñdhiyāñ haiñ diyā jalā rakhiye
kitnī sadiyoñ kī barf pighlī hai
sail kā rāsta khulā rakhiye
ban ke laavā bahegā josh-e-numū
ab na is aag ko dabā rakhiye
ḳhuun ahl-e-nazar se gulgūñ hai
ḳhaak kā naam kīmiyā rakhiye
jo sahar kī kiran se phūTe haiñ
un añdheroñ kā naam kyā rakhiye
jaltī shāmoñ kī is chitā pe 'jalīl'
ik na.ī sub.h kī binā rakhiye
dil ko aamada-e-wafa rakhiye
aandhiyan hain diya jala rakhiye
kitni sadiyon ki barf pighli hai
sail ka rasta khula rakhiye
ban ke lawa bahega josh-e-numu
ab na is aag ko daba rakhiye
KHun ahl-e-nazar se gulgun hai
KHak ka nam kimiya rakhiye
jo sahar ki kiran se phuTe hain
un andheron ka nam kya rakhiye
jalti shamon ki is chita pe 'jalil'
ek nai subh ki bina rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.