Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej

Jurat Qalandar Bakhsh

dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    dil ko ai ishq sū-e-zulf-e-siyah-fām na bhej

    rahzanoñ meñ musāfir ko sar-e-shām na bhej

    dekh ho jā.ūñgā ġhairoñ ke gale maiñ haar

    haar phūloñ ke ai shoḳh-gul-andām na bhej

    bhar nazar sūrat-e-gul dekh to leñ ai be-dard

    haa.e sayyād abhī ham ko tah-e-dām na bhej

    jab vo bheje hai mujhe mai to kaheñ haiñ yuuñ ġhair

    ye bahak jā.egā bas aur ise jaam na bhej

    bhejūñ us paas jo qāsid ko dobāra to kahe

    baaz āyā, nahīñ lene maiñ in.aam na bhej

    kūcha-e-yār meñ pahuñche haiñ to bas rahne de

    jīte-jī yaañ se kahīñ gardish-e-ayyām na bhej

    dam-ba-dam bheje hai quliyāñ ko kyā muñh se lagā

    lab se bhī lab ko milā bosa-ba-paiġhām na bhej

    ba.ad muddat ke tujhe paayā hai tanhā ba-ḳhudā

    aaj kaam ko yaañ se but-e-ḳhud-kām na bhej

    de kabhī bosa-e-chashm-o-lab-e-jāñ-baḳhsh bhī jaañ

    sirf sauġhāt hameñ bosa-ba-paiġhām na bhej

    gāliyāñ to haiñ mohabbat ibārat pyāre

    kab maiñ kahtā huuñ ki likh kar mujhe dushnām na bhej

    par ye dhaḌkā hai ki jaave na kahīñ ḳhat pakḌā

    kar ke sar-nāme pe tahrīr mirā naam na bhej

    'jur.at' ab tujh se vo rūThā to manā kyūñki maiñ lā.ūñ

    phir dene lagegā mujhe ilzām na bhej

    dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej

    rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej

    dekh ho jaunga ghairon ke gale ka main haar

    haar phulon ke tu ai shoKH-gul-andam na bhej

    bhar nazar surat-e-gul dekh to len ai be-dard

    hae sayyaad abhi hum ko tah-e-dam na bhej

    jab wo bheje hai mujhe mai to kahen hain yun ghair

    ye bahak jaega bas aur ise jam na bhej

    bhejun us pas jo qasid ko dobara to kahe

    baz aaya, nahin lene ka main inam na bhej

    kucha-e-yar mein pahunche hain to bas rahne de

    jite-ji yan se kahin gardish-e-ayyam na bhej

    dam-ba-dam bheje hai quliyan hi ko kya munh se laga

    lab se bhi lab ko mila bosa-ba-paigham na bhej

    baad muddat ke tujhe paya hai tanha ba-KHuda

    aaj tu kaam ko yan se but-e-KHud-kaam na bhej

    de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-baKHsh bhi jaan

    sirf saughat hamein bosa-ba-paigham na bhej

    galiyan to hain mohabbat ki ibarat pyare

    kab main kahta hun ki likh kar mujhe dushnam na bhej

    par ye dhaDka hai ki jawe na kahin KHat pakDa

    kar ke sar-name pe tahrir mera nam na bhej

    'jurat' ab tujh se wo ruTha to mana kyunki main laun

    tu hi phir dene lagega mujhe ilzam na bhej

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-278 ebook-318)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now