dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein
dil ko ba-nām-e-ishq sajānā paḌā hameñ
phir ik fareb dil meñ basānā paḌā hameñ
ye kis kā haal kis ko sunānā paḌā hameñ
aur dil kā haal dil se chhupānā paḌā hameñ
jal kar bhī tere naam kī ḳhushbū bikher de
phūloñ meñ aisī aag lagānā paḌā hameñ
dāman ye ḳhaar se nahīñ phūloñ se taar hai
jaane ye kaisā qarz chukānā paḌā hameñ
jab se ḳhushī salīb-e-mohabbat pe chaḌh ga.ī
hañsnā bhī ab udhār meñ laanā paḌā hameñ
khulte haiñ roz kyā ye mohabbat ke mai-kade
ye aazmā ke dekhne jaanā paḌā hameñ
ik aarzū ke vāste kyā kyā nahīñ kiyā
'ahmad' 'nisār' dil ko jalānā paḌā hameñ
dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein
phir ek fareb dil mein basana paDa hamein
ye kis ka haal kis ko sunana paDa hamein
aur dil ka haal dil se chhupana paDa hamein
jal kar bhi tere nam ki KHushbu bikher de
phulon mein aisi aag lagana paDa hamein
daman ye KHar se nahin phulon se tar hai
jaane ye kaisa qarz chukana paDa hamein
jab se KHushi salib-e-mohabbat pe chaDh gai
hansna bhi ab udhaar mein lana paDa hamein
khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade
ye aazma ke dekhne jaana paDa hamein
ek aarzu ke waste kya kya nahin kiya
'ahmad' 'nisar' dil ko jalana paDa hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.