Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya

Nazeer Akbarabadi

dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    dil ko chashm-e-yār ne jab jām-e-mai apnā diyā

    un se ḳhush ho kar liyā aur kah ke bismillāh piyā

    dekh us jāma-zebī gul ne apnā pairahan

    is qadar phāḌā ki bulbul se nahīñ jaatā piyā

    be-qarārī ne nigāh-e-sīmbar pherī idhar

    ināyat ham ko us sīmāb ne ye kīmiyā

    us ke kūche meñ jise baiThne ko mil ga.ī

    masnad-e-zarbāf par ġhālib hai us boriyā

    dil chhupā baiThā to us zulf-e-musalsal se 'nazīr'

    ai asīr-e-dām-e-nā-fahmī ye ne kyā kiyā

    dil ko chashm-e-yar ne jab jam-e-mai apna diya

    un se KHush ho kar liya aur kah ke bismillah piya

    dekh us ki jama-zebi gul ne apna pairahan

    is qadar phaDa ki bulbul se nahin jata piya

    be-qarari ne nigah-e-simbar pheri idhar

    ki inayat hum ko us simab ne ye kimiya

    us ke kuche mein jise ja baiThne ko mil gai

    masnad-e-zarbaf par ghaalib hai us ka boriya

    dil chhupa baiTha to us zulf-e-musalsal se 'nazir'

    ai asir-e-dam-e-na-fahmi ye tu ne kya kiya

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 1(114))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now