Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko hua hai ishq mohabbat ke dagh se

Natiq Lakhnavi

dil ko hua hai ishq mohabbat ke dagh se

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    dil ko huā hai ishq mohabbat ke daaġh se

    parvāna lau lagā.e hue haiñ charāġh se

    dīdār-e-ruḳh nasīb huā dil ke daaġh se

    sūraj ko maiñ ne DhūñDh liyā is charāġh se

    ik dāġh-e-dil ne mujh ko diye be-shumār daaġh

    paidā hue hazār charāġh is charāġh se

    afsurda yuuñ huā dil-e-sozāñ ko uf na

    aisā bujhā dhuāñ bhī na niklā charāġh se

    'nātiq' diloñ meñ nuur hai is sham-e-husn

    raushan hai sab ke ghar charāġh is charāġh se

    dil ko hua hai ishq mohabbat ke dagh se

    parwana lau lagae hue hain charagh se

    didar-e-ruKH nasib hua dil ke dagh se

    suraj ko main ne DhunDh liya is charagh se

    ek dagh-e-dil ne mujh ko diye be-shumar dagh

    paida hue hazar charagh is charagh se

    afsurda yun hua dil-e-sozan ko uf na ki

    aisa bujha dhuan bhi na nikla charagh se

    'natiq' dilon mein nur hai is sham-e-husn ka

    raushan hai sab ke ghar ka charagh is charagh se

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 133)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now